EX HINDU AYUSH MALIK NE KYU KIYA ISLAM QABOOL

>> Ayush Malik Par Logo Ke Lagaye Gaye Iljam.​

>> Ayush ko jabardasti Islam Qabool karaya hai.

  • ​Is bareme khud ayush malik ka bolna hai ki mai 2008 se Islam ko padh raha hu Islam ki acchaiyo ne muze convert kiya hai. na ki kisi ne jabardasti,​ Aur unhone bola is desh me koi kisiko Topi tk jabardasti nahi pehna sakta to dharm kaise badal sakta hai.​
  • Interview me ayush malik ne kaha aap mere 1 hath me chand 1 hath me suraj lake rakh do lekin mai apne Islam se nahi hatne wala.​ Imaan lane ke liye to suraj ka nikalna chand ka nikalna isi ko dekh ke imaan la sakte hai. ki ye sab koun chala raha hai ye duniya apne aap to nahi chal rahi ye Ayush Malik Ka kehana hai.
  • Ayush bolte hai mere nabi ke jiwan ne muze kafi inspire kiya hai. unki zindagi maine padhi usse muze kafi inspiration mili hai.​
  • Interview me unse pucha gaya ki apki wife jinhone aapko Islam kabool karaya wo to apko chodkar chali gayi.​ To ayush malik ne kaha maine kisiko dekh ke imaan thodi laya hai, maine apne nabi A.S ke upar imaan laya hu. muze kisi ladki ne islam qabool nahi karaya, maine Islam khud Qabool kiya aur fir 1 muslim ladki se nikah kiya hai.​
  • Aur ayush malikka bolna hai ki meri biwi ko torchor kiya ja raha hai halat aise bana diye hai ki usko majburan muze chodne ki baat karni pad rahi hai.
  • Ayush malik ka nam ‘Mohammad Ali‘ Rakha hai.

Ayush Malik Ki 50 Crore Ki Sampatti.

  • Ayush 1 rich family se hai unke papa ka dawai ka business hai jiske chalte unki shop ki value hi 20 crore hai.​
  • Ayush malik bolte hai tthu hai aisi property pe mai aaj chodne tayyar hu aisi property pe jo muze Islam se dur kare.​ unka bolna hai ki mai aaj likh kar dene tayyar hu ki mera iss property me koi haq nahi.​

>> (Surah al baqrah ayat 213) Allah Quran me kya farmata hai allah jise chahata hai seedhe raste par laga deta hai.

​>> (Surah al anam ayat 125) Jis shaks ko allah hidayat dene ka irada farmata hai uska seena Islam ke liye khol deta hai.

​>> (. Surah al Qasas ayat 56) Allah farmata yakeenun aap kisiko hidayat nahi de sakte allah jise chahata hai usi ko hidayat milti hai.​

>> (surah fatir ayat 8) Allah jise chahata hai gumrahi me chod deta hai aur jise chahata hai hidayat se nawazta hai….. >> Is ayat ka matlab hai jo shaks apni taraf se Allah se sach ki talash me ho use allah hidayat de deta hai, aur jo chahata hi nahi usko allah hidayat nahi deta.

>> Iska live example hamare samne hai, ayush malik unhone sach ki talash ki aur aaj allah ne unhe hidayat de di.

Imaan Kya Hai

  • Imaan wo hai jo ki 1 allah ko apna creator mane uske siwa koi nahi jo khuda ho wo 1 hi hai.
  • ​Aur 1 bar allah ki mohabbat dil me bas jaye to aap us imaan wale ko duniya ki koi bhi chiz ka lalach deke usse uska imaan nahi khareed sakte.

writer : nns.

Scroll to Top