ALLAH KI NEYAMAT

  • Neyamat ka matlab hota hai allah ne hame jo chize di hai, Jaise zindagi, acchi sehat, rehne ke liye chat, aur sabse badi neyamat ye hai ki allah ne hame musalman banaya.
  • Allah ne ham insaano ko itni neyamate di hai ki ham use geen nahi sakte. Isiliye allah (Quraan Surah An-Nahl ayat 18) me farmata hai tum allah ki neyamato ko gin nahi sakte.​
  • (Quraan surah Ibrahim ayat 7) me allah farmata hai agar tum allah ka Shukr ada karonge to allah tumhe aur bhi neyamato se nawazenga.

Neyamato Ka Hisab

  • (Surah At-Takathur ayat 8) Allah Qayamat ke din puchenga ki jo maine tumhe neyamate di tumhe use kaha istemal kiya. >> Jaise jawani di to galat kamo me to nahi jaya (barbad) ki, paisa diya to kaha istemal kiya, sehat di to kisi par zulm to nahi kiya, ankhe di to galat kamo me use to nahi ki, jaban se kisiko galat ya bura to nahi bola.​ aysehi sari neyamato ke hisab allah roze qayamat me lenge.
  • ham ye samaj baithe hai ki duniya me moj masti karo ek deen marna hi hai. lekin ham apne zehen se ye nikal baithe hai ki marne ke baad hame in chizo ka hisab bhi dena hai.

> Allah ne jo hame neyamato se nawaza hai usme allah ne azmaishe bhi rakhi hai.​

  • Jaise Allah ne paisa diya hai to use galat kamo me kharch na kare ye azmaish hai, > To allah ne neyamato me azmaishe rakhi hai.​
  • Ab jo insaan azmaisho me pass ho gya usk liye allah ne inam rakha hai jo ki jannat hai.​
  • Quraan surah baqrah #156 me farmata hai ham tumhe aajmaynge jaan ke jariye, maal ke jariye, aulad ke jariye, yaha allah ne hame bata diya hai ki hamari azmaish hongi isiliye hame sabr karna hai aur azmaisho me bhi allah ka shukr ada karna hai.

<> Allah farmata hai kya tum ye guman karte ho ki hum tumhari azmaish nahi hongi, aur tum chor diye jaonge ki tum imaan le aaye ho.⬇️⬇️⬇️

  • matlab sirf iman lane se hi hamari bakshish nahi hone wali iske liye hame azmaya jayega,​Allah jab apne bande ko jannat jaisi neyamate de raha hai isiliye allah us bande ko azmayega ki ye us ke layak hai bhi ya nahi.​ hame jannat aise hi nahi milne wali hame allah ke bataye hue ahakamat par chalna bhi hai bure kamo se bachna hai aur acche kamo karne hai aur karne ki dawat deni hai.

​Jise Ham Neyamat Samajte Hai, Wo Neyamat Nahi Hai.​

Hamari sehat acchi hai lekin ham hidayat par nahi hai to ye Allah ki neyamat nahi hai.​

Dr. Israr Ahmad sahab —​ Farmate hai⬇️⬇️⬇️

  • Aulad neyamat nahi agar hidayat na ho, ​Hidayat wo chiz hai jiske sath allah ki neyamat judi ho wo hai asal neyamat, hidayat ke bagair koi neyamat – neyamat nahi hai.​
  • Aur allah ki azeem neyamat Quraan hai.

Jaise is baat ko aise samje, >> Hamare mulk me jo sabse ameer aadmi hai uske pas beshumar paisa hai lekin uske pas Imaan nahi hai kafir hai. Lekin aapke pas itna paisa nahi hai lekin aap musalman hai to ye hai hidayat aur asal allah ki neyamat.

Writer : nns.

Scroll to Top