DUA SIRF ALLAH SE

To Ayiye Qur’an-Hadith Ke Roshni Me Dekhte Hai DUA Allah Ke Alawa Kisi Aur Se Bhi Mangi Ja Sakti Hai..

Quran E Pak Me Pahale Hi Surah Me Aata Hai ‘iyyaka Na’budu wa-iyyaka Nastayin‘ > Iska Matlab Hota Hai ‘Ya Allah Ham Ibadat Bhi Teri Karte Hai Aur Madat Bhi Tuzhi Se Chahate Hai’ Ab Ham Allah Se Madat Dua Ke Zariye Hi Mangte Hai To Yaha Ye Saf Hai Ki Madad Ke Liye Dua Sirf Allah Se Hi Mangi Ja Sakti Hai Isi Ke Supportive Hamare Pas Kahi Saari Hadith Bhi Maujud Hai Jise Ham Aage Dekhenge..

SURAH FATIHA AYAT 4

To Ab Yaha Na-Samaj Log Sawal Uthate hai Ki >Khana Bhi Apne Ammi Se Kyu Mangte Ho Wo Bhi Allah Se Hi Mango >To Un Logo Ko Pata Hona Chahiye Ki Allah Ne Quran Me Hi Surah Maidah Ayat 2 Me Huqm Diya Hai Ki ‘Neki Ke Kamo Me Ek Dusre Ki Madad Karo Aur Burai Me Alag Raho

SURAH MAIDAH AYAT 2

To Yaha Hame Saaf Pata Chal Raha Hai Ki Baat GAIB Me Pukarne Ki Ho Rahi Hai Yani Dua Ke Zariye >Naa Ki Insano Ko Madad Ke Liye Pukarne Ki Ho Rahi Hai Yaha Molviyo Ko Darna Chahiye Ki Allah Ke Kalam Ko Galat Bayan Karte Hai.

Ab Ham Ye Bhi Dekhenge Ki Dua Ke Mutallik Aap Mohammad صلى الله عليه وسلم Ne Kya Farmaya Hai

Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Ne Farmaya Hai Ki Dua Hi To Ibadat Hai Aur Fir Aap صلى الله عليه وسلم Ne Quran Ki Surah Gafir (Mumin) Aayat 60 Tilawat Ki Jiska Matlab Hai > Aur Jo Hamari Ibadat Se Akadte Hai Yani Allah Ki Ibadat Se Takabbur Karte Unhe Allah Jahannam Me Dakhil Karenga > Ab Yaha Aap Dekhiye Allah Ke Rasool صلى الله عليه وسلم Baat Dua Ki Kar Rahe Hai Aur Ayat Padhi Ibadat Ki >Jo Hamari Ibadat Se Taqabbur Karenge Unko Allah Jahannam Me Dakhil Karenga QKi Dua Hi To Ibadat Hai Is Par Kahi Sari Hadith Maujud Hai Jaise >TIRMIZI Hadith No. 3247 >Sunan Ibn E MAJAH Hadith No. 3828 >Abu Dawood Hadith No. 1479. In Hadith Ke Hindi Me Screenshot Niche Diye Gaye Hai

To Ab Hame Pata Chal Chuka Hai Ki Dua Hi IBadat Hai To Hame Allah Ke Siwa Kisi Aur Se Dua Yani Ibadat Nahi Karni Chahiye Qki Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Ibadat Karna Yaneki Dua Karna Ye Shirk Hai Aur Allah Iss Gunah Ko Kabhi Maaf Nahi Karenga Ki Koi Banda Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Ibadat Kare Yaneki Mazaro Pe Jana Waha Mannat Mangna Dua Karna Ye sab GAIBI DUA Hai Aur Ye Shirk Hai..

Dua Bhi Ibadat Ki Hi Shaql Hai Jaise Namaz, Roza ,Hajj, Zakat Ye Allah Ke Alawa Kisi Aur Ke Liye Nahi Kar Sakte Isi Tarah DUA Bhi Allah Ke Alawa Kisi Aur Se Nahi Mangi Ja Sakti Qki Dua Hi Ibadat Hai.

Ab Ab Ye Janle Agar Koi Allah Ke Alawa Kisi Aur Se DUA Karta Hai To Ye Shirk Hai Aur ALLAH Shirk Ko Kabhi Muaf Nahi Karenga Baki Jo Guanah Hai Allah Chahe To Muaf Karenga Lekin ALLAH Ke Nazdik Shirk Ki Maafi Nahi Hai .. Niche Screenshot Dekhe Qur’an Surah NISA Ayat No. 48

This Post Has 2 Comments

  1. Niketa

    Hi http://sacchaislam.com,

    Your website is not ranking well on Google.

    I can help you in putting your website on the Google’s top-3 Rank and getting more customers Guaranteed.

    Would you like to me seo proposal your business site

    If you’re interested, then I will send you SEO Packages and strategies.

    Warm regards,
    Niketa

Leave a Reply