ISLAM KA SABSE BADA GUNAH – ALLAH KE NAJDIK ISS GUNAH KI MAFI NAHI HAI

To Chaliye Dekhte Hai Wo Aisa Kownsa Gunah Hai Jiski Muafi Allah Ke Bargah Me Qabool Nahi Hai…

SHIRK KYA HAI ?

WHAT IS SHIRK

Islam Me SHIRK Sabse Bada Gunah Hai. > Agar Koi Musalman Shirk Karke Bina Tauba Ke Mar (death) Jata Hai > To Allah Aise Insan Ko Kabhi Muaf Nahi Karenga [ SHIRK Ko Qur’an Hadith Ke Roshni Me Samajte Hai ]

To Ab SHIRK Ko Detail Me Samajte Hai SHIRK Kya Hai? Aur SHIRK Se Kaise Bacha Jaa Sakta Hai

SHIRK Se Bachna Isiliye Jaruri Hai Qki Jaane Anjane Me Hamse Bhi SHIRK Ho Jaye Aur Ham Bina Tauba Kiye Mar Gaye To Hame Bhi ALLAH Jarur Jahannam Me Dakhil Karenga > Isiliye Iss Gunah Ko Jan’na Aur Samajna Hame Jaruri Hai Taki Ham Iss Gunah Se Bach Sake..

Allah Ne Quran Me Farmaya Hai Mai Shirk Ko Kabhi Muaf Nahi Karunga Iske Alawa Jo Gunah Chaunga Jiske Liye Muaf Kar Dunga SURAH AN – NISA AYAT NO. 48

SURAH NO. 112 (surah Ikhlas) Iss Surah Me Allah Ne Apne Jat Ke Mutallik Farmaya Hai Ki Allah 1 hai Uska Koi Hamsar Nahi Aur Na Usko Kisine Paida Kiya Hai Na Usse Koi paida Hua Hai Iss Surah Me Allah Apni Shan Bata Raha Hai Ki Khuda Sirf 1 Hai Dusra Koi Nahi Aur Meri Hi Ibadat Karo > Lekin Ab Aap Soch Rahe Honge Ki Musalman Ibadat To Allah Ki Hi Karte Hai Allah 1 hai Ye Bhi Mante Hai to Fir Musalman Shirk kaise karenge > Musalman Allah Ko To 1 Manta Hai Lekin Allah Ne jaise Ahakam Hame Bataye Hai Ki Ibadat Kya Hai Aur Kaise Karni Hai > Ham Musalman Yahi Galti Kar Lete Hai Aur Hame Deen Ki Samaj Na Hone Ki Wajah Se Wo Kam Ko Bhi Gunah Na Samj Kar Kar Lete Hai Jisse Shirk Ho Jata Hai Shirk Ki Kahi Sari Catogory Hai Jisse Ham Aage Samjenge..

SURAH IKHLAS Niche Padhiye Hindi Me Is Surah Me Allah Ki Shan Bayan Hai…

Ab Samaj Lete Hai Shirk Kya Hota Hai > Allah Ki Jat Me Kisiko Sharik Karna >Jaise Allah Ne Quran Me Bata Diya Hai Ki Madad Sirf Allah Se Mangni Chahiye Yani Dua Ke Jariye Ham Madad Sirf Allah Se Mang Sakte Hai Ab Agar Koi Muslim ALLAH Ke Alawa Kisi Aur Se Dau Mange Wo Mushrik Ho Jaynga > Jo Allah K Alawa Aur Kisiki Ibadat Karta Hai Jaise Allah Se Bhi Dua Karta Aur Auro Se Bhi Yani Dargaho Par Mazaro Par Jake Mannat Murad Dua Karta Hai Aise Insan Ko Mushrik Bola Jata Hai Aur Mushrik Kabhi Jannat Me Nahi Jaynenga..

SURAH FATIHA AYAT 4

NABI A.S BHI KIN LOGO KO JANNAT ME NAHI LEKE JA SAKTE

BUKHARI SHAREEF HADITH NO.6565 Me Nabi A.S Ne Farmaya Jab Mai Shafat Karaunga Jab Jahannam Se Logo Ko Nikal Raha Honga Tab Jahannam Ke Daroga Aap A.S Ko Bolenge Ki Ab Apka Koi Ummati Jahannam Me Baki Nahi Hai Siwaye Uske Jise Quran Ne Jannat Me Jane Se Rok Rakha Hai > To Ab Quran Me Hi Dekh Lete Hai Ki Quran Ne Kin Logo Ko Jannat Me Jane Se Rok Rakha Hai To Hame Surah Maidah Ki Ayat 72 Milti Hai Jisme Allah Ne Saaf Farmaya Hai Ki JO KOI ALLAH KE SATH SHIRK KARENGA USS PAR ALLAH NE JANNAT HARAM KAR DI HAI Isiliye Hame Shirk Jaise Bade Gunah Se Bachna Chahiye Ab Ham Aage Dekhenge Ki Hamse Kaise Jaane Anjane Me Shirk Hota Hai Hame Pata Bhi Nahi Chalta Lekin Aap Iss Blog Ko Padh Ke Asani Se Samaj Paonge Aur Inshallah Bach Paonge..

Hamare Har Chote Bade Kamo Me Aajkal Shirk Aam Ho chuka Hai Jise Ham Step By Step Dekhenge

Jisme Se Sabse Pahale Number Kar Hai Dua aaj Musalman mazaro Pe Jaake Unse Mannat Murad Dua Karte Hai Jo Ki Sirf Allah Ke liye Honi Chahiye Lekin Afsos Aaj Musalman Iss Gunah Ko Guanah Nahi Samajte..

Kala Dhaga Bandhna Kajal Laga Ke Ye Aqida Rakhna Ye Hame Nazar Se Bachaynga Ye Bhi Shirk Hai Usme Jaise Billi Ka Rasta Katna aur ham rasta badal lena ye aqida rakhna hamara kuch galat ho jaynga Ye Bhi Shirk Hai..

Aur Aaj Musalman Bade Asani Se Apne Baccho Ki Maa Ki Kasam Kha Lete Hai Lekin Apko Pata Hona Chahiye Allah Ke Alawa Kisi Aur Ki Kasam Khana Ye Bhi Shirk Hai Aur Apne Nafe Nuksan Ka Malik Allah Ke Alawa Kisi Aur Ko Samajna Jaise Mare Hue Insan se Darna unke Mazaro pe Jaake Tauba Karna Aulad Mangna Ye Sab Shirk Hai

Aisehi Aaj 11vi, Kunde Ki Niyaz Bade Dhadalle Se Ki Jati Hai Lekin Apko Pata Hona Chahiye Niyaz Nazrane Ye saare Allah Ke Liye Hote Hai Agar ham Niyaz Kisi Paigambar Ke Nam Se Bhi Karte Hai To Ye Bhi Haram Hai Shirk Hai

Aap Ye Samaj Lijiye Allah Ke Liye Jo Kam Ham Karte Hai Wo Kam Kisi gairullah ke liye nahi Kiye Jaa sakte..

ALLAH Hame Didayat De Aur SHIRK Jaise Gunah Se Bachaye Aur Yad Rakhe Shirk Ki Muafi Nahi Hai..

Shirk Is The Most Sensitive Issue In The Side Of Allah…